ek din aap yun humko mil jayenge >3
"Itne saal kahan thi tum?"
"Kisi aur kahani me thi, kisi aur sheher me. Aur jab aankh khuli to tum mil gaye."
"Pehle kyu nahi mile hum, kuchh aur waqt mil jaata tumhe jaan ne ka, samajhne ka."
"Kabhi kabhi mujhe bhi lagta hai ki kya zarurat thi hume aise milne ki. Koi aasaan raasta bhi ho skta tha. Koi chhota raasta. Par shayad zaruri tha mera iss tarah milna tumhe aur tumhara iss tarah aana, hume pehle bohot kuchh dekhna tha, seekhna tha, kuchh aur hi banna tha ek dusre se milne se pehle."
"Par tumse milke to mai mai hi nahi raha hu. Jo bhi mai tha wo mai nahi hu ab."
"Tumhari kahani alag thi, meri alag thi, par hum dono ko usse guzarna tha taaki jab hum mile to milte hi aisa lage ki phle mil chuke hain shayad. Hairaani ho ki ye kya hogya. Khushi ho to bura na lage, darr lage to itna hi ki ab darr kyu nahi lagta. Thoda zyada ho gya na?"
"Haan thoda sa, par chalta hai. Bohot saalon ki baatein reh gayi hain. Kuchh dino me to puri hongi nahi na?"
"Sahi baat hai, bas ab kahin jaana mat, theek hai?"
"Tumse aage, tumhare bina ab koi raasta yaad hi nahi mujhe.Thoda zyada hogya na."
"Hanji, thoda zyada hogya."
— A
Comments
Post a Comment